AB VO BAAT NAHI

Khidki se chhann k dhoop to aj bhi aati hai kamre mein har subah,
par us dhoop mein vo baat nahi,
vo pehle jaisi na utni sunehli hai, usme ab vo garmaahat nahi
palko pe gir kar vo neend to meri ab bhi bhagati hai,
par badab ki kapkapi mita de usme ab vo baat nahi


andhere se ab hume darr nahi lagta,
kyunki is apni si fir bhi begaani se dhoop mein vo pehli si baat nahi
shayad ye dhoop bhi naraaz hai mujhse, rooth gayi hai iski kirane bhi,
shayad is naraazgi mein poochti hai mujhse sawaal,
 karti hai shikayat, "kya hua hai tujhe, tujhme ab vo baat nahi"


ha shayad mujhme hi ab vo baat nahi,
har apna anjaana sa hogaya hai,
apna chehra bhi begaana sa hogaya hai,
rooh mein machi khalbali to ab shant ho gayi hai,
par ab mann ka sannata naya purana hogaya hai,


kitno se karu shikayat?
kya kya sabse sawaal karu?
kyu nahi ho tum pehle se?
kyu badale hai ye manzar?
kaise karu shikwa ki kuch nayi si hai har subah or ab apni ye raat nahi,
kyunki darr hai dil mein,
shayad mujhme hi ab vo baat nahi....

Comments

Post a Comment

Popular Posts